Suno aisa nahi kartay.......
Hazaroon pal tumharay bin
Na pocho kaisay katay hain
Kabhi yaden rulati hain
Kabhi mausam satatay hain
Hamen mayoos na karna
Hamara maan rakh lena
Hamen wapas nain jana
Hamen dil mein basa lena
Hamen apna bana lena
Bohot tarpay howay dil say
Bohot rootha nai kartay
Muhabbat to ibadat hai
Usay ruswa nahi kartay
Zamane se chupatay hain
Kabi charcha nai kartay
Suno aisa nahi kartay
Suno aisa nahi kartay