Tum rooth jao mujhse
aisa kabhi na karna,
Main ik nazar ko tarsoon
aisa kabhi na karna
main pooch pooch haroon sau sau sawal kar ke,
Tum kuch jawab na do
aisa kabhi na karna,
Mujhse hi mil ke hasna,
Mujhse hi mil ke rona,
Mujhse bicher ke jee lo,
aisa kabhi na kerna,
Tum chaand ban ke rehna,
Main dekhti rahoon gi
kesi roz tum na niklo
aisa kabhi na karna
tum chale jao jab b
tau dekhoon tumhara rasta,
tum laut ke na aao
aisa kabhi na karna